4 Kalma Tauheed | Iske Fayde Aur Ahmiyat Kya Hai?

4 Kalma Tauheed

4 Kalma Tauheed jise “Kalma Tauheed” (کلمہ توحید) bhi kaha jata hai, Islam ka ek ahem hissa hai. Yeh Allah ki wahdaniyat (Oneness of Allah) ko sabit karta hai aur shirk se inkaar karta hai. Iska taluq sirf ek aqeede se nahi, balki ek Muslim ki poori zindagi se hai.

4 Kalma (Tauheed) Arabic Mein Tarjuma Ke Sath

لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيْكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ

الْحَمْدُ يُحْيِ وَيُمِيتُ وَ هُوَحَى لَا يَمُوْتُ أَبَدًا

أَبَدًا ذُو الْجَلَالِ وَالْإِكْرَامِ بِيَدِهِ الْخَيْرُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ

شئ قدير

Laa ilaaha illal Lahoo Wahdahoo Laa Shareeka

lahoo Lahul Mulku Walahul Hamdu Yuh’ee

Wa Yumeeto Wa Huwa Hay Yul La Yamooto

Abadan Abada Zul Jalali Wal ikraam Biyadi Hil

Khair. Wa hua Alaa Kulli Shai In Qadeer.

4 Kalma Tauheed in English with Meaning

لَا إِلٰهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ
La ilaha illa Allahu wahdahu la sharika lahu
Allah ke siwa koi ibaadat ke laayak nahi, wah akela hai, uska koi shareek nahi.

لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ
Lahul mulku wa lahul hamdu
Sari baadshahat usi ki hai, aur sari tareefin bhi usi ke liye hain.

يُحْيِي وَيُمِيتُ
Yuhyi wa yumeetu
Wahi zindagi deta hai aur wahi maut deta hai.

وَهُوَ حَيٌّ لَا يَمُوتُ
Wahuwa hayyun la yamootu
Wahi hamesha zinda rehne wala hai, kabhi nahi marega.

بِيَدِهِ الْخَيْرُ
Biyadihil khayru
Har bhalaai usi ke haath mein hai.

وَهُوَ عَلٰى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
Wahuwa ‘ala kulli shay’in qadeer
Aur wahi har cheez par qadir hai.

4 Kalma Tauheed Hindi me Tarjumeke sath
  • Kalma Tauheed Islam ka ek ahem hissa hai jo Allah ki wahdaniyat ko bayan karta hai. Yeh Kalma humein sirf ek Allah ki ibaadat aur uski qudrat par poora bharosa rakhne ki taleem deta hai. Iska matlab hai ki Allah ke siwa koi ibaadat ke laayak nahi, wahi akela hai, uska koi shareek nahi.
  • 4 Kalma Tauheed ki ahmiyat he ki ye imaan ko mazboot banata hai, shirk se bachata hai. Or ek musalmaan ki roohani taraqqi ka sabak banta hai.
  • 4 Kalma Tauheed padhne ke kai fayde hain jaise gunaahon ki maafi, duaon ki qubooliyat, dil ka sukoon . Yeh humein sikhata hai ki har halaat mein sirf Allah par bharosa karein, usi se madad maangein.
  • Jo shakhs 4 Kalma Tauheed is Kalma ko dil se padhta hai, uska imaan aur amal behtar hota hai. Islam ki asal taleemat ko samajhne aur amal karne ke liye is Kalma ko rozana parhna or samajhna zaroori hai.

4 Kalma Tauheed ki Ahmiyat

Yeh ek Musalman ke imaan ki buniyad hai, jo hume shirk se bachata hai aur Allah par bharosa karne ki taleem deta hai. Jab ek shakhs dil se is Kalma ko samajhta aur manta hai, to uska aqeeda mazboot hota hai aur uska rabt Allah se aur gehra ho jata hai. Yeh duniya ki chand roza zindagi ko behtar banane ke sath-sath aakhirat ki kamiyabi ka bhi sabak deta hai.

4 Kalma Tauheed ke Fazail aur Faiday

  1. Gunaahon ki Maafi: Jo shakhs sachay dil se is Kalma ko padhta hai, uske pichle gunaah maaf hote hain, jab tak ke wo sachi tauba kare.
  2. Duaon ki Qubooliyat: Allah ke samne sirf usi ki wahdaniyat ka iqraar karne wale ki duaon ko Allah behtareen tareeke se qubool farmata hai.
  3. Dil ka Sukoon: Yeh Kalma ek shakhs ke dil se har kisam ki bechaini door karta hai aur usse har halaat mein sirf Allah par bharosa rakhne ki himmat deta hai.
  4. Imaan aur Amal ki Behtari: Jo shakhs is Kalma ko rozana padhta aur samajhta hai, uska imaan mazboot hota hai aur wo Islam ki asal taleemat par behtar tareeke se amal karne lagta hai.
  5. Shirk se Hifazat: Yeh Kalma humein kisi bhi doosri cheez ya shakhs ko Allah ke barabar samajhne se rokta hai aur sirf Allah ki ibaadat ki taraf le jata hai.

  1. Tayyab
  2. Shahadat
  3. Tamjeed
  4. Tauheed
  5. Istighfar
  6. Radd-e-Kufr 

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *