Teesra Kalma Tamjeed – Fazilat, Translation aur Importance

Teesra Kalma Tamjeed
  • Teesra Kalma Tamjeed Islam ke 6 Kalmo me se teesra kalma hai. Isko “Kalma Tamjeed” kaha jata hai, jo Allah ki badiayi aur uski tareef ko bayan karta hai. Ye kalma hume Allah ki azmat aur uske azeem sifat (Khasiyat) yaad dilata hai. Isko padhne se imaan aur ibadat mazboot hota hai.

Teesra Kalma Tamjeed ke lafz hai.

سُبْحَانَ لِلَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ، وَاللَّهُ

أَكْبَرُ وَلَا حَوْلَ وَلا قُوَّةٍ لَّا بِاللَّهِ الْعَلِيُّ الْعَظِيمِ

Teesra Kalma Tamjeed in English with Meaning and Explanation
  • Teesra Kalma Tamjeed Allah ki hamd (tarif) ko behtareen tareeqe se bayan karta hai. Jab aap is kalme ko padhte hain, to aap apne Allah ka shukr ada karte hain aur uski badiayi ka izhar karte hain. Teesra Kalma Tamjeed hamari gunahon ki maafi ka zariya hai Hadith ke mutabiq, “Jis shakhs ne ‘Subhaanallahi wa bihamdihi’ 100 martaba padh liya, uske saare gunah maaf kar diye jaate hain, chahe wo samundar ke jhaag ke barabar ho.” (Sahih al-Bukhari)
  • Namaz ke badd isko padhna sunnat hai Namaz ke baad is kalme ka zikr karna bohot fazilat wala hai. Isse aapka din barakat aur sawab se bhar jata hai. Dua ke Qabool Hone ka Zariya Teesra Kalma aapki dua ko mazid qubool hone ke liye asar dar banata hai, kyunki isme Allah ki badiayi aur tareef shamil hai.
Teesra Kalma Tamjeed in HIndi with Meaning and Explanation

Teesra Kalma Tamjeed ke Tajurma

  • Subhanallahee – Allah Har Kami Or Khamise Pak Hai
  • Wal Hamdulillahe – Sari Tarif Allah Ke Liye Hai
  • Wa Laa ilaha illal Laho – Allah Ke Siva Koi Mamood Nahi
  • Wallahoo Akbar – Allah Sabse Bada Hai
  • Wala Haola Wala Quwwata illa billahil AliYil Azeem – Takat Or Kudrad Allah Ke Alawa Kisi Ke Pas Nahi Or Wahi Azim Shanwala Hai

Fazilat (Benefits) of Teesra Kalma Tamjeed

  • Agar Allah Ki Tareef Karna Hai Toh Ye Kalma Sabse Behtareen Hai
  • Gunahon ki Maafi ka Zariya
  • Dil ka Sukoon aur Roohani Faida
  • Namaz ke Baad Isko Padhna Sunnat Hai
  • Allah ki Qudrat ka Ehsas
  • Jannat ka Darwaza Khulta Hai
  • Dua ke Qabool Hone ka Zariya

Teesra Kalma Tamjee ka Maqsad

  • Allah ki Badiayi aur Taqat ko Samajhna: Ye kalma humein yaad dilata hai ki duniya ki har cheez Allah ke hukum se chalti hai.
  • Shukr Guzari ka Izhar: Is kalme se hum Allah ke diye hue har nemat ka shukr ada karte hain.
  • Roohani Taqat ko Mazboot Banana: Is kalme ka zikr dil aur rooh ko Allah ke kareeb karta hai.

Important Note:

Teesra Kalma Tamjeed ek azeem ibadat hai jo har musalman ke liye zaroori hai. Iska rozana zikr karna na sirf sawab ka zariya hai, balki ek achi zindagi jeene ki misaal bhi hai.

Jitni baar aap isko padhenge, utna hi zyada Allah ke kareeb honge. Is kalme ko apne bacho ko bhi yaad karvayein aur iska zikr har din apni aadat banaye.

Kalmas

  1. Tayyab
  2. Shahadat
  3. Tamjeed
  4. Tauheed
  5. Istighfar
  6. Radd-e-Kufr 

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *