Laaa Ilaaha Illa(Phela kalma) Arabic,Hindi,English Tarjuma Ke Sath

Laaa Ilaaha Illa(Phela kalma) Arabic,Hindi,English Tarjuma Ke Sath

Phela Kalma

Tayyab :

Laaa Ilaaha Illa yani 6 Kalme ( Pehla Kalma Tayyab,Dusra Kalma Shahadat,Teesra Kalma Tamjeed,Chotha Kalma Tauheed,Pachwa Kalma Istighfar,Chata Kalma Radd-e-Kufr ) me se ek kalma hai

Pahila Kalma Laaa Ilaaha Illa Tayyab in Arabic,Hindi,English Tarjuma Ke Sath Fist Kalma Tayyab

Pahila Kalma Tayyab Laaa Ilaaha Illa-llaahu Muhammadur-Rasoolu-llaah iska paigam hume sirf Allah ki ibaadat or Rasool (Hazrat Muhammad ﷺ) ke bataye hue triko par Amal Karna sikhlata hain or Allah ki vahdaaniyat aur Hazrat Muhammad ﷺ ki risalat ko tasleem karta hai. Ye Hazrat Muhammad ﷺ ko Allah ka bheja hua paighambar maan ne ka saboot hai. Laaa Ilaaha Illa-llaahu Muhammadur-Rasoolu-llaah ek Muslim ka buniyadi aqeeda aur imaan ka sabut hai

لا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ مُحَمَّدٌ رَّسُولُ اللهِ

Laaa Ilaaha Illa-llaahu Muhammadur-Rasoolu-llaah

There is no God Besides Allah, Hazrat Muhammad (SAW) is his messenger of Allah.

ला इलाहा इलल्लाहु मुहम्मदुर्रसूलुल्लाहि

अल्लाह के सिवा कोई माबूद नहीं और हज़रत मुहम्मद सलल्लाहो अलैहि वसल्लम अल्लाह के रसूल है।

Meanings and Explanation

Laaa Ilaaha Illa

Allah ke siwa koi maabood nahi.

Iska matlab hai ki sirf Allah hi ibadat ke laayak hai. Koi aur khuda, ya taqat ibadat ke layak nahi

Muhammadur Rasoolullah

Muhammad ﷺ Allah ke Rasool hain.

Hazrat Muhammad ﷺ Allah ke bheje hue Rasool hain jo humein sahi rasta dikhate hain aur Islam ka paigam Logo tak phochate hain.

Kalma ye Tayyab Padhne Ke Fayade Hadith Ki Roshni me

Mu’adh bin Jabal (RA) se riwayat hai

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: Jo koi bhi dil se yakeen ke saath gavahi de ‘La ilaha illallah’ aur yeh ki main (Muhammad ﷺ) Allah ka Rasool hoon, aur phir mar jaye , Allah usse maaf kar dega.”

Sunan Ibn Majah 3796

Abu Hurairah (RA) se riwayat hai

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya Aap apne marne waale logon ko ‘La ilaha illallah’ kehne ki talqeen karo.

Sunan Ibn Majah 1444

Ibn ‘Umar (RA) se riwayat hai

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: Islam paanch cheezon par mabni hai (buniyaad rakhi gayi hai):

‘La ilaha illallah’ aur yeh gawai dena ki Muhammad ﷺ Allah ke Rasool hain, Namaz qaim karna Zakat dena Ramadan ke maheenay ka roza rakhna Allah ke ghar (Kaaba) ka Hajj karna.

Jami At-Tirmidhi 2609

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *